Tum jis roj samjh jaaoge is mohbbat ko

Tum jis roj samjh jaaoge is mohbbat ko
fir kisi aur pe najre inayat na kar sakoge
aaj jo aajmaate ho logo pe apne jalwo ka hunar
mere jaane ke  baad tum fir ye diwaangi na kar sakoge
Is kadar na lena is mohbbat ka imtihaa
ki kal chaho bhi to tum  aashiqui na kar sakoge

chahat kanhu isse ya koi " pyar dewana "

Mujhe apna bana kar aap kisi aur ke na ho jana
zindgi thum gayi meri jab se manzil tumhe mana
kabhi najro me rahte ho to kabhi khwabo me rahte ho
chahat kanhu isse ya koi " pyar dewana "

Ek pal

Tu ek pal ke liye bhi kisi ki yaado me jo chale
us pal se bhi aitraaj hai hume....hum aur kya kanhe

Kaise bhulaaun mai tujhe ye bata to de

Kaise bhulaaun mai tujhe ye bata to de
jeene ka mujhe naya falsafa to de
jindgi bahot dur le aayi hai mujhe
tere bin ek kadam bhi chal saku...itna hausla to de

Kismat pe yakin to tha nahi ab tak

Kismat pe yakin to tha nahi ab tak,
per kuch majburiyo ko kismat ka naam de diya
jab se maangi hai humne tujhse mohabbat teri
khud mohabbat ne hume bewafai ka iljaam de diya

Aisa nahi hai ki tumhe chahte nahi hai

Aisa nahi hai ki tumhe chahte nahi hai
bus farz ke aage pyar ko bhulaye baithe hai
Tu faasla itna rakhna ki meri khabar na mile
hum apni chahat ko bewafai me chupaye baithe hai

Ab to hasne lage hai dekh kar jamaane waale mujhe

Ab to hasne lage hai dekh kar jamane waale mujhe
meri had se bhi gujar gayi aage jo...vo diwangi tu hai

Chalte sabhi hai manjil ki talaash mein

Chalte sabhi hai manjil ki talaash mein,
Fark bas itna hai kanhi dhund leti hai manjil raahi ka pata
To kanhi kho jaate hai raaste majil per aane se pahle