Aap najro me yu samye hai

Aap najro me yu samye hai
duriyo ka ehsas hota nahi hai...
tu khush rahe fir ye shart nahi kiske saath hai tu
Yeh woh ehsas hai.. jo fasle aane se kam hota nahi hai...

Ab kya ranj gum aur khushi se apne

Ab kya ranj gum aur khushi se apne
jab sikh liya jeena bichad kar jindgi se apne

Jiske liye karte rahe apni kismat se gila

Jiske liye karte rahe apni kismat se gila ,ab ye jana vo gair tha nahi apna mera
ye kadam ghayal hai phir bhi chalna hai ,abhi abhi to armaano ka ghar tuta mera

Ab to khamosh sa mujhko ye sama lagta hai ,aankhe to nam hai meri
tujhko gum kya kya hai mera
Hum to shayad bhool bhi jaate tumhe per tu ek sach hai nahi SAPNA mera

Jiske saaye me khud ko mehfooj kiya ,khud vo kahta hai vo gair hai nahi apna mera
raat bhar uljha raha vo mere khayal me per samjh na paya ki ye sach tha ya koi sapna mera

Tu kyo gumsum sa hai muskura ye dost,teri muskurahat hi hai bas ek taufa mera

Vo jaane kis baat ki khud ko saja deta hai

Vo jaane kis baat ki khud ko saja deta hai
roj likhta hai mera naam aur mita deta hai

Hum bhi laga lete is dil ko kanhi

Hum bhi laga lete is dil ko kanhi per
na jaane kyo is aashiqi se dar lagta hai
aye khuda ,humko bhi bana do auro ki tarah
humko apni diwaangi se dar lagta hai

Hamne socha bayan ye chahat kare

Hamne socha bayan ye chahat kare,daag jab tune diye to chahat chupa ke laut gaye
kanhi mere gam ki khabar laga na lo isliye teri galiyo se muskurakar laut gaye

humne roka tha tumhe apna samjh, gair jab tune kaha to dard e dil apna chupa kar laut gaye
kanhi ghayal na ho jaye kadam tere ,
tere kadmo tale hum ye dil bicha kar laut gaye

hum to aaye the sunane haal e dil tumko,tumko khush dekha to pyar apna chupa kar laut gaye

Is raah se na gujar

Is raah se na gujar, yanha mere jasbaat ke tukde pade hai
abhi jo gujre the yanha se haste haste ,vo saare saks meri raah me ghayal pade hai

Aansu chalkate hai magar

Aansu chalkate hai magar har saaj pe gana padta hai
dard humko bhi hota hai per har ruthe ko manana padta hai
kaash ye dost,tu samjh pata mere ehsaas ko
ki teri tarah humko bhi har dard me muskurana padta hai

Jab se gaye ho tum is gulshan se

Jab se gaye ho tum is gulshan se ,in hawao me ab vo nami nahi aati
Tere aane ki khabar to kai baar aayi per tumse milne ki surat ab najar nahi aati

Jab koi yaad dil dukhaye tera

Jab koi yaad dil dukhaye tera ,un yaado ko dil se mita dena
Lag na paaye jab dil mehfil me to yaad karna mujhe aur muskura dena

Tumse shikwa bhi nahi

Tumse shikwa bhi nahi na gila hai koi, ye ruthapan to hamara ek bahana hai
Tum saath chal sakte nahi aur hum saath aa sakte nahi,kitne bebas hai dono ,hamne jana hai

do ghadi baith paas ke hum bhi tarse hai tere didaar ke liye ,fir kismat me to vaise hi bichad jana hai
hum dil ka haal tumhe kaise kanhe ,tumhe to dil todkar aata muskurana hai

kyo begano se tum ab milte ho, najar badli hai ya badla to ye jamana hai
ab rok na hame chaale jaane de ki milke bichadna to dastur purana hai

Tu udas mat ho hame tanha dekh,tere injaar me to baitha ye jamana hai
hus kar ruksat de hame ki phool phir se khilenge,abhi patjhad ka hai mausam aur humko bikhar jana hai

Lana chahte the aapke honto pe hasin

Lana chahte the aapke honto pe hasin lekin
Na jaane kab in aankho ki nami ban gaye
khwaish thi aapki jindgi banne ki ,lekin
kab jaane aapki bebasi ban gaye

Dekh mumkin hai mai juda ho jaun

Dekh mumkin hai mai juda ho jaun per ye judai sirf in faaslo me rahegi

Taumra tujhko naa bhula paayenge hum , kuch is kadar teri yaade in dhadkano me rahengi.....

ye jaante hai tujhe bhi haq hai

ye jaante hai tujhe bhi haq hai teri mohbaat ko paane ka
per kya karu, kai rishto ki dor me majbaar hoon mai

"Maine us had tak nahi chaha " ye soch kar meri chahat ka imtihaan na le
tu jindgi hai meri ...per bebasi is had tak hai ki tujhse door hoon mai

Saat phero ka bhandan nahi na sahi per dil se dhadkan sa tera rishta hai mujhse
aaj gunahgaar hoon teri per yakin kar bekasoor hoon mai

Mil jaayenge kai yaar magar

Mil jaayenge kai yaar magar ,hum jaisa koi yaar badi mushkil se milega
har baat pe tod dete ho dil mera....kal todne ko tumko ye dil na milega

Humse kyo naraj ho

Humse kyo naraj ho,kyo ye nigaahe churaane lage ho
ye dost ,itna bata do .......kya kisi aur se dil lagane lage ho

Ye vo ehsaas hai

Ye vo ehsaas hai jo in panno pe kaid rahenge
Per ye jab bhi kanhege mere dil ki har baat kanhege
Ho sakta hai meri is kahani ka koi nishaan na rahe
Per mere baad ka fasana.... ye alfaaj kanhege

Log samjhte hai mai juda hoon tujhse

Log samjhte hai mai juda hoon tujhse
kaash...........Vo samjh paate tera rishta mujhse

Uski najro me khamoshi thi koi

Uski najro me khamoshi thi koi lagta hai jubaan per koi baat aayi hai
vo ghanto bhar nihaarta raha meri tasvir ko ........Lagta hai aaj phir use meri yaad aayi hai

Mere hotho se meri hansi le gaye ho

Mere hotho se meri hansi le gaye ho ,tum saath apne har khushi le gaye ho
Ab sochte hai kya tumko de hum
Tum jaate jaate jindgi le gaye ho

Hamne logo se suni thi

Hamne logo se suni thi kai daastaan lekin

Tumse milke jaana pyar kahte hai kise ...........

Sach kahte hai mohbaat ye chiz buri hai

Sach kahte hai mohbaat ye chiz buri hai ,bina aag ke hi khwabo ko jala deti hai

Gujar jaati hai ek umra eak hasti ko banane mein aur ek pal me diwangi ek hasti ko mita deti hai

Bas ab to ye ek bejaar sa rishta hai jo taumra ek jhakm bankar saja deti hai

ye vo duniya hai janha pyar ki keemat nahi hai

ye vo duniya hai janha pyar ki keemat nahi hai ,bik jaate hai insaan yaha jasbaat ki keemat nahi hai

kab tak bahayenge aansu ham apne nasib per,bhool ja tere sapne yanha armaan ki keemat nahi hai

jindgi ko ladna ek jang samjh kar yanha kamjor insaan ki keemat nahi hai

ladkhadaye jo kadam to ye dost sambhlane ka hausla rakhna yanha doobte huye shaam ki keemat nahi hai

Kya hoon mai.

Kya hoon mai.........
Ek waqt jo gujar gaya ,yaa
Ek lamha jo thahar gaya

Bata de dil jara mujho

Bata de dil jara mujho ,kya tu mujhko rulayega
Tu uski mohbbat me ,kya khud ko bhul jaayega

Agar jaaga tu raato ko ,kanha mai bhi bata soyi
Tu jab jab dard me tadpa ,mai tere saath hi royi

Mujhe de de meri keemat,mai tujhse tod lu rishta
Mi tere haal pe tadpu tu tadpe uski judai me

Ye mahfil hami se roshan hai

Ye mahfil hami se roshan hai ,Tum jalao na lau roshani ke liye
yu sare aam kimat lagao na tum...hum to kab ke bik gaye the teri khushi ke liye

Haan vo jeet gaya hamse

Haan vo jeet gaya hamse ek shart mohbbat ki,
Per haar gaya humko ....har ek baaji per

Mujhse mat puch meri udasi ka sabab

Mujhse mat puch meri udasi ka sabab kya hai,
Bas dil se dhadkan ki judai ka ehsaas rula gaya

Hum jo badle hai kabhi

Hum jo badle hai kabhi,to vo haalat rahe honge
Tumko baltla na sake aise kai armaa rahe honge
pass rah kar bhi kar diya hai tujhe door kanhi
vo is masoom dil ke koi jasbaat rahe honge

Mana ki ye fasana adhura rahega

Mana ki ye fasana adhura rahega ,to kya hua ....har pyar ki manjil ho jaruri to nahi
Mujhko gila nahi ,per dil ko samjaye kaun.....Har dil ko uski chahat haasil ho ye jaruri to nahi .........

Chalte sabhi hai manjil ki talaash mein

Chalte sabhi hai manjil ki talaash mein,
Fark bas itna hai ...kanhi dhund leti hai manjil raahi ka pata
to kanhi raaste kho jaate hai manjil pe aanee se pahle......

Aap najro me yu samaaye ho

Aap najro me yu samaaye ho,duriyo ka ehsaas hota nahi hai
aap khush raho fir ye shart nahi vo khushi kiske saath hai.....ye vo ehsaas hai jo faaslo ke aane se kam hota nahi hai

Mai Tumse kaise kanhu kya ho tum

Mai Tumse kaise kanhu kya ho tum
Mai jo dhadkan hu,to meri jaan ho tum
bayaa na ker sake tumse hi is fasane ko
Mai jo saya hoon to meri pahchhaan ho tum
Dil me aaya khayal tumse maanglu tumko
Tab ye mahsus kiya ,kai bandisho me jakda mera armaan ho tum...
isse aage ka fasana mat puch aye dost....In tut ti saanso me jeene ka armaa ho tum

Kab tak nibhayenge vo in Rishto ki dor ko

Kab tak nibhayenge vo in Rishto ki dor ko
Majboor hai vo jinse Dil e halaat najar aate hai
Koi kashish thi uski khamoshi me bhi
ki aate hi khayal uska hum gunahgaar najar aate hai.....

Isse pahle ki bikher de ye jamana mujhko

Isse pahle ki bikher de ye jamana mujhko,ye khuda..tu mujhse ye jindgi lele
Ab ujalo se humko dar lagata hai ,Tu meri duniya se roshni lele..

Meri khamoshi,meri bechaini,meri tanhayi

Meri khamoshi,meri bechaini,meri tanhayi
Her jagah hai vo
kabhi in hoto pe muskurahat ,to kabhi in aankho
me aansu banker raha hai vo...
haan vo dhadkta hai mere dil me dhadkan ki tarah
meri her ek saans me basa hai vo
to kyon....aakhir kyon vo kehta hai mujhse juda hai vo....

Aapke pyar ka kuch huva ye asar

Aapke pyar ka kuch huva ye asar,Shayrana si meri ada ho gayi
Muskurate huye pahle rehte the hum,Aaj khamoshi meri jubaa ho gayi
Vo mere haal pe shok kerne lage,Ye to bedardi ki imtihaan ho gayi
Kya gujri hai dil pe ye na puchiye,Ruh tak pyar me fanahh ho gayi
Uth ke mehfil se mere chale vo gaye,Aur jism se jaan meri juda ho gayi....

Teri duniya me andhera na rahe

Teri duniya me andhera na rahe,tu mere aankho se roshni lele
dard se kabhi teri mulakaat na ho,tu mere daman ki her khushi lele
tere bin jine ki ab aur tamnna nahi,ye dost....jate jate tu meri ye jindgi lele

Maine dil ko samjhaya

Maine dil ko samjhaya ,rehne de ab intjaar na kar
per mai ye kaise kanhu...tu bhul ja use pyar na kar
usne lagaya hai iljaam meri mohbbat per,dard to usko bhi hua hoga mujhper ye tohmat dekar

Aaj bikhre hai

Aaj bikhre hai to simet le mujhe apni banho ka sahara dekar
Kal vaise hi le jaayegi ye aandhi tere kaarve se door mujhe

Kai khwaishe hai dil ki

Kai khwaishe hai dil ki........ Mai ruth jaun vo manaye mujhe,
kisi baat pe jo udas rahu,kai koshishe karke vo hasaye mujhe
kabhi chede kisi baat ko lekar,to kabhi khamosh rahkar bhi kuch kah jaye mujhe,
mai kah na paun jab haal e dil to ,vo najro se meri samjh jaye mujhe,
rishta aisa ho ki galatfahmi ki koi deewar na ho,
kismat juda karde bhi de to vo kismat se chura laye mujhe.........
kai khwaishe hai dil ki......kaise samjhau use

Usne khata bhi nah

Usne khata bhi nahi ki aur unse ye narajgi kyon hai,ye jaante hai vo mere ho nahi sakte,ye jaante huye bhi unke liye ye diwaangi kyon hai
Sab log hai is mahfil me ek uske siva, jaane ek uski kami se meri mehfil me ye virangi kyon hai,
Kuch bhi to nahi maanga khuda se ek uske siva,to ye khuda ,itna bata .......
uske bina ye jindgi kyon hai

Ye jaante hai is pyar ki manjil nahi

Ye jaante hai is pyar ki manjil nahi,per dil kahta hai hum is pyar ki had dekhenge
Isse pahle ki koi aur ye dil tode,hum khud ye dil tod kar manjar dekhenge
Tu kis kash-maksh me hai dost,hum chale jayenge......bas jaate jaate tujhko ek najar dekhenge

Faaslo ka dil pe ikhtiyaar to hai

Faaslo ka dil pe ikhtiyaar to hai ,Vo bhi chahta hai hume ye aitbaar to hai
Meri bebsi ne uski aankho ko koi sapne nahi diye.....per in bebas aankho me uska intjaar to hai

Koi rishta to jarur hoga tera mujhse

Koi rishta to jarur hoga tera mujhse,Jo chah kar bhi hum tujhe bhula nahi paate
Sochte hai ki pher le ye najar tumse ........Per do kadam se aage jaa nahi paate